Shri Sanjeev Bhargava, aur puri Seher team ka main tahe dil se shukriya karti hu ki unhone itna badhiya ayojan kiya. Chahe wo manch ho, green room ho, ya kalakaron ko kisi bhi cheez ki zarurat ho, yahan pe puri ki jati hai. Main unka tahe dil se shukriya ada karti hu ki jis tarah se wo kalakaron ka dhyan rakhte hain, especially stage ka flooring, jiska vishesh dhyan rakha jata hai. Iske liye bahut bahut dhanyawaad. Jab sab kuch apni jagah pe rehta hai, to nritya ki prastuti bhi bhot man se ki jati hai. To hamari puri team ki taraf se Seher ka bahut bahut dhanyawaad.