Seher ke saath kaam karna mere liye ek ati sukhad anubhav raha hai. Seher ke camp mein ya usse jude har kalakar ke saath kaam karte hue mujhe hamesha kuch naya seekhne ko mila hai. Mujhe lagta hai ki Seher sirf ek art camp nahi, balki ek parivaar hai – ek aisa parivaar jo alag-alag shehron aur aane wale kalakaron ko ek sutra mein baandh deta hai. Yahan sabhi kalakar sirf apni kala mein hi nahi, balki ek doosre ke vicharon ko samajhne, naye prayog karne aur naye ideas ko saanjha karne mein bhi ek doosre ka sahyog karte hain. Isi apnepan aur rachnatmak vatavaran ke kaaran mujhe Seher ke camp doosre kisi bhi camp se adhik pasand hai.